Q1. Fidya kisko ada karna hoga ?
Musafir
Daimi mareez jinki sehat ki koi umeed baqi na rahe
Hamela
Q2. Allah Jahannam se logon ko azaad karte hai ?
Ramadan ki har raat
Har roze iftaar ke waqt
Un dono awqaat mein
Q3. Ramadan ki barkaton se mehrum rehne wala _______________________________ hai.
Baad naseeb
Bewaquf
Jahel
Q4. Roza na rakhne walon ke liye waeed aur uske nuqsanat batane ko roza ki ______________________ kaha.
Ahmiyat
Fazeelat
Barkat
Q5. Musafir aur mareez ko roza na rakhne ki rukhsat hai.
Baad mein qaza rakhni hogi
Qaza ki zarurat nahi
Fidya dena hoga
Q6. Biwi se humbistari karna na-jaiz hai.
Ramadan ul Mubarak mein raat ke waqt
Dauran itekaaf
Dono options saheeh hai
Q7. Ramadan ke akhir mein agar mutla abr alood ho (cloudy weather) ho toh kya karna chahiye ?
30 roze pure karne chahiye
29 roze pure karne chahiye
Baham mashware se dono tarah kiya jasakta hai
Q8. Rozedar ke liye Jannat mein ek khususi darwaza hai, uska kya naam hai ?
Imaan
Rayyan
Salaam
Q9. Kis sahabi ke liye Rasool (saws) ne farmaya ke mujhe umeed hai ke unko Jannat ke 8 darwazo se pukara jaega ?
Abu Bakr (r.a)
Umar (r.a)
Usmaan (r.a)
Q10. Jibreel (a.s) ki kis dua par Nabi (s.a.w.s) ne ameen kahi ?
Ramadan pane ke bawajud bakshish hasil na karne wale par halakat ho
Rasool (s.a.w.s) ke zikr par durood na bhejne wale par halakat ho
Dono duaon par
Q11. Siddiqeen aur Shuhada ka saath naseeb hoga.
Jo Ramadan mein siyam kare
Jo Ramadan mein qiyam kare
Jo Ramadan mein siyam aur qiyam kare
Q12. Naya chand dekhne ki masnoon dua jo hume sikhai gai hai, ismein kis cheez ki tardeed (rejection) hai ?
Shirk
Gunah
Takbeer
Q13. Dauran ramadan agar musafir ke rozon ki tedaad hazir ilaqe (mulk) ke rozon se zyada ho toh zayd dino ke roze :-
Tark dena chahiye
Nafl ki niyyat se rakhne chahiye
Dono tarah kiya jasakta hai
Q14. Abr (clouds) ki wajah se agar Eid ka chand nazr na aye aur roza rakhne ke baad malum ho ke chand nazr achuka hai toh :-
Roza pura karna hoga
Roza khol dena chahiye
Q15. Dauran ramadan agar musafir ke rozon ki tedaad hazir ilaqe (mulk) ke rozon ki tedaad se kam ho toh :-
Eid ke baad tedaad puri karni chahiye
Tedaad puri karna zaruri nahi
Chahiye toh rakhle