Q1. Masjid-e-Nabawi mein chiragh hijrat ke kitne saal baad jalaya gaya ?
2
5
9
Q2. Aurton ko masjid mein jane se roka jasakta hai ?
Jee haan
Jee nahi
Koi harj nahi
Q3. Kis sahabiya ne ghar ke akhiri hisse mein apne liye masjid banwai jismein roshan daan (ventilation) na the ?
Umme A'abees (r.a)
Umme Humaid Sa'adi (r.a)
Umme Ghafaariya (r.a)
Q4. Aurton ke liye namaz ki afzaal jagah kya hai ?
Mohalle ki masjid
Ghar ka sehan
Ghar ka anduroni kamrah
Q5. Aurton ko masjid mein jate waqt :-
I'tr lagana chahiye
Saadge se jana chahiye
Zeenat ka izhaar karna chahiye
Q6. Ibraheem Nakha'i kiske ustaad the ?
Imaam Shafiee
Imaam Abu Haneefa
Imaam Maalik
Q7. Aurton ko masjid mein khushboo lagakar ana chahiye.
Ye sahih nahi hai
Ye sahih hai
Pasandida hai
Q8. Saff mein ek :-
Aurat tanha khadi hosakti hai
Mard tanha khadaa hosakta hai
Dono jawabaat durust hai
Q9. Imaam ki ghalati par aurat ko "SUBHAN ALLAH" keh kar itla'a deni chahiye.
Sahih
Ghalat
Q10. Aurat ka azaan dena :-
Sunnat se sabit hai
Sunnat se sabit nahi hai
Q11. Mardon ki behtareen saff __________________ aur aurton ki behtareen saff _________________ hai.
Pehli - Akhiri
Akhiri - Pehli
Pehli - Pehli
Q12. Aurton aur mardon ke tareeqe namaz mein :-
Koi farq nahi
Kuch farq maujud hai
Wazeh farq hai
Q13. Aurton ki namaz ghar mein masjid ke muqable mein zyada afzaal kyun hai ?
Aurton aur mardon ke aazadana mail jhool se bachne ke liye
Paakeezgi aur sharam wa haya qaym karne ke liye
Q14. Sar ka duppatta kaisa ho ?
Mote kapde ka
Bada ho, chahe bareek ho
Kaale rang ka ho, toh acha hai
Q15. _______________________ ko har namaz ke liye alag wudhu karna chahiye.
Aurton
Haizah
Mustahaza
Q16. Aurton par Jummah ki namaz :-
Farz hai
Wajib nahi
Wajib hai
Q17. Haizah ko qaza karna hogi.
Namazo ki
Rozon ki
Dono ki
Q18. Kis sahabiya ne apne shohar ko apna behtareen bagh sadq karne par kaha tha ke "aap ne bahut acha sauda kiya hai"
Umme Aus (r.a)
Umme Saif (r.a)
Umme Dardaa (r.a)
Q19. Aisha (r.a) ne farmaya ke "Agar aaj Allah ke Rasool (s.a.w.s) hote toh :-
Aurton ko is tarah dekhte toh, masjid mein ane par papandi laga dete
Aurton ko masjid mein ane se rokne walon ki khabar lete
Aurton ko masjid mein namaz ka hokum dete
Q20. Taashahud mein baitne ko ______________________________ kehte hai.
Qaidah
Qiyam
Qaumah